Poet: Perveen Shakir 


Mar bhi jaon to kaha laug bhula hi dain gay

Lafz mery Mary honay ki gawahi dain gay


Laug tharra gay jis waqt manadi ai

Aj pegham Naya zile elahi dain gay


Jhonkay kuch aisay thapakty hain gulon k rukhsar

Jesy is bar toh patjharh say bacha hi dain gay


Hum woh shab zad keh Suraj ki anayat main bhi

Apnay bachon ko faqt kor nigahi dain gay


Astin sanpo ki pehnay gay galay main mala

Ahle qufa ko nai shahar panahi dain gay


Shahar ki chabiya aada ky hawaly kar Keh

Tuhfatan phir unhain maqtol sapahi dain gay