Main Nay Dekha Tha Un Dino Mein Usay, great urdu ghazal by Mohsin Naqvi


Main Nay Dekha Tha Un Dino Mein Usay
Poet: Mohsin Naqvi

Main Nay Dekha Tha Un Dino Mein Usay

Jab Wo Khilte Gulaab Jaisa Tha
Uski Palkon Se Neend Chhanti Thi
Uska Lehja Sharaab Jesa Tha
Uski Zulfon Sy  Beegti Thi Ghatta
Uska Rukh Mahtaab Jaisa Tha
Log Padhte They Khalo-Khad  Uss Ke
Woh Adaab Ki Kitaab Jaisa Tha
Bolta Tha Zubaan Khushbu Ki
Log Sunte Thay Dhadkanon Mein Usey

Maine Daikha Tha Un Dino Main Usay..

Saari Aankhein Thin Ainey Uskay
Saare Chahron Mein Intekhaab Tha Who
Yeah Khawaab Hai Ki Who Haqeeqat Tha
Ye Haqeeqat Hai Ki Koi Khawaab Tha Who…
Sab Se Ghul-Mil Kar Ajnabi Rehna
Ek Dariya Numa Saraab Tha Wo
Apni Neendein Usi Ki Nazar Hui
Maine Paya Tha Rat jaggon Mein Usey..

Main Nay Dekha Tha Un Dino Main Usay

Jab Wo Hans Hans Ke Baat Karta Tha
Dil Ke Kheme Mein Raat Karta Tha
Rang Padte They Aanchalon Mein Usey

Main Nay Dekha Tha Un Dino Main Usay

Ye Magar Dair Ki Kahani Hai
Ye Magar Door Ka Fasana Hai
Us Ke Mere Milaap Mein Hayil
Ab Toh Sadiyon Bhara Zamana Hai
Ab Toh Ye Ki Hal Apna Bhi
Dasht-E Hijran Ki Sham Jaisa Hai
Kaya Khabar Inn Dino Woh Kaisa Hai?

Main Nay Dekha Tha Un Dino Main Usay

Comments